Wednesday, January 28, 2009

Kash-ma-kash

aisa hua nahi hai par aisa na ho kahi,
usne mujhe na dekh ke dekha na ho kahi,
kadmon ki chaap der se aati hai kaanon mein,
koi mere khayalon me firta na ho kahi,
sanki hui hawaon me khusboo ki aanch hai,
patton me koi phool dehkta na ho kahi,
ye kon jhankta hai kiwad ki ot se,
baati bujha kar dekho savera na ho kahi....

No comments: